You are currently viewing kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai | best 1 of Sahir Hoshiyarpuri
kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai

kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai | best 1 of Sahir Hoshiyarpuri

“kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai”, कौन कहता है मोहब्बत की ज़बाँ होती है is a famous Urdu Gazal written by the Famous poet Sahir Hoshiyarpuri (साहिर होशियारपुरी), You Must Read it.

kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai

kaun kahta hai mohabbat ki zaban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai

wo na aae to satati hai KHalish si dil ko
wo jo aae to KHalish aur jawan hoti hai

ruh ko shad kare dil ko jo pur-nur kare
har nazare mein ye tanwir kahan hoti hai

zabt sailab-e-mohabbat ko kahan tak roke
dil mein jo baat ho aankhon se ayan hoti hai

zindagi ek sulagti si chita hai ‘sahir’
shoala banti hai na ye bujh ke dhuan hoti hai

कौन कहता है मोहब्बत की ज़बाँ होती है

कौन कहता है मोहब्बत की ज़बाँ होती है
ये हक़ीक़त तो निगाहों से बयाँ होती है

वो न आए तो सताती है ख़लिश सी दिल को
वो जो आए तो ख़लिश और जवाँ होती है

रूह को शाद करे दिल को जो पुर-नूर करे
हर नज़ारे में ये तनवीर कहाँ होती है

ज़ब्त सैलाब-ए-मोहब्बत को कहाँ तक रोके
दिल में जो बात हो आँखों से अयाँ होती है

ज़िंदगी एक सुलगती सी चिता है ‘साहिर’
शो’ला बनती है न ये बुझ के धुआँ होती है

sahir hoshiyarpuri \ साहिर होशियारपुरी

Leave a Reply