You are currently viewing Abhi kuchh aur karishme gazal ke dekhte hain
Abhi kuchh aur karishme gazal ke dekhte hain

Abhi kuchh aur karishme gazal ke dekhte hain

Discover the enchanting world of poetry with Ahmad Faraz’s mesmerizing gazal collection, “Abhi Kuchh Aur Karishme Gazal Ke Dekhte Hain.” Immerse yourself in a symphony of emotions.

Abhi kuchh aur karishme gazal ke dekhte hain

Abhi kuchh aur karishme gazal ke dekhte hain
‘faraaz’ ab zara lahja badal ke dekhte hain

judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain

rah-e-wafa mein harif-e-KHiram koi to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte hain

tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata
ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

ye kaun log hain maujud teri mahfil mein
Jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain

ye qurb kya hai ki yak-jaan hue na dur rahe
hazar ek hi qalib mein Dhal ke dekhte hain

na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui
so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain

ye kaun hai sar-e-sahil ki Dubne wale
samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain

abhi talak to na kundan hue na rakh hue
hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain

bahut dinon se nahin hai kuchh us ki KHair-KHabar
chalo ‘faraaz’ ko ai yar chal ke dekhte hain

अभी कुछ और करिश्मे ग़ज़ल के देखते हैं

अभी कुछ और करिश्मे ग़ज़ल के देखते हैं
‘फ़राज़’ अब ज़रा लहजा बदल के देखते हैं

जुदाइयाँ तो मुक़द्दर हैं फिर भी जान-ए-सफ़र
कुछ और दूर ज़रा साथ चल के देखते हैं

रह-ए-वफ़ा में हरीफ़-ए-ख़िराम कोई तो हो
सो अपने आप से आगे निकल के देखते हैं

तू सामने है तो फिर क्यूँ यक़ीं नहीं आता
ये बार बार जो आँखों को मल के देखते हैं

ये कौन लोग हैं मौजूद तेरी महफ़िल में
जो लालचों से तुझे मुझ को जल के देखते हैं

ये क़ुर्ब क्या है कि यक-जाँ हुए न दूर रहे
हज़ार एक ही क़ालिब में ढल के देखते हैं

न तुझ को मात हुई है न मुझ को मात हुई
सो अब के दोनों ही चालें बदल के देखते हैं

ये कौन है सर-ए-साहिल कि डूबने वाले
समुंदरों की तहों से उछल के देखते हैं

अभी तलक तो न कुंदन हुए न राख हुए
हम अपनी आग में हर रोज़ जल के देखते हैं

बहुत दिनों से नहीं है कुछ उस की ख़ैर-ख़बर
चलो ‘फ़राज़’ को ऐ यार चल के देखते हैं

By Ahmad Faraz

Leave a Reply