You are currently viewing har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen – Sahir Ludhanvi
aankhen

har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen – Sahir Ludhanvi

Enter the realm of heartfelt emotions and tender melodies with “har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen,” a soul-stirring gazal penned by the talented poet Sahil Ludhanvi.

This enchanting composition weaves together the intricacies of love, longing, and the human experience, captivating listeners with its poetic prowess.

har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen

har tarah ke jazbaat ka elan hain aankhen
shabnam kabhi shoala kabhi tufan hain aankhen

aankhon se baDi koi taraazu nahin hoti
tulta hai bashar jis mein wo mizan hain aankhen

aankhen hi milati hain zamane mein dilon ko
anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhen

lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti
insan ke sach jhuT ki pahchan hain aankhen

aankhen na jhukin teri kisi ghair ke aage
duniya mein baDi chiz meri jaan! hain aankhen

By Sahir Ludhanvi

Source- (Book- Kulliyat e Sahir Ludhianvi)

Read More; Abhi kuchh aur karishme gazal ke dekhte hain

Leave a Reply