You are currently viewing Raat khawab me bachpan dekha | Famous urdu poetry
Raat khawab me bachpan dekha

Raat khawab me bachpan dekha | Famous urdu poetry

Raat khawab me bachpan dekha

Raat khawab me bachpan dekha

udham machate khud ko dekha

khel kuud ke ghar mai pahuchi

aur ammi ko kitchin me dekha


Raat khawab me bachpan dekha

haye woh kya bachpan tha

ab lagta hai kuch kam tha

jisme alag ci duniya thi

woh bas meri duniya thi

jo khamosh na rehti thi

bas ithlai rehti thi

khush ho to thahake the

dukh ke alag tamashe the


dukh aate the jate the

khhushiya sab per bhari thi

isi liye hamari thi

kya kya sapne bunte the

woh bhi apne man ke the

sab kirdar hamare the

raja rani hathi ghode

sang or sath hamare the


woh jo aasman me tare the

sab ke sab hamare the

jod ghata ke unko hame

kya kya naksh utare the

haye woh kya bachpan tha

ab lagta hai kuch kam tha


guk mohar ki thandi kiyari

lu garmi na ham per bhari

kuch matti ko phank liya yun

us patti ko chaat liya yun

us titli ke rango me

sari duniya ka darpan dekha


Raat khawab me bachpan dekha

udham machate khud ko dekha

jhul jhul ke jhuleki

woh rassi bal ko khol chuki thi

phir bhi apni apni bari kerne ki hodh lagi thi


Raat khawab me bachpan dekha

udham machate khud ko dekha

ab jo bhukh lagi thi kas ke

ab jo bhukh lagi thi kas ke

roti ki khushbu or us per


ghee or shakker us per chidak ke

ghee gaya kuch udhar tapak ke

phir roti per zayada shakker

ghee ka hissa kuch kam dekha


Raat khawab me bachpan dekha

udham machate khud ko dekha


suraj ne jab aankhe kholi

suraj ne jab aankhe kholi

cheh chaha ker chidiyan boli

yadon ko mazi me choro

khudh ko aaj ke din se jodo


phir jane q in aankhon ne

in palko ko kuch nam dekha

Raat khawab me bachpan dekha

udham machate khud ko dekha

khel kuud ke ghar mai pahuchi

aur ammi ko kitchin me dekha

haye woh kya bachpan tha

ab lagta hai kuch kam tha


Read mote Banjara Nama by Nazeer Akbarabadi 

 

Leave a Reply