You are currently viewing Latest Eid Shayari Collections | Top 20 Eid sher
Latest Eid Shayari Collections

Latest Eid Shayari Collections | Top 20 Eid sher

Eid Shayari is the art of expressing the joy and spirit of the festive occasion through short and heartfelt poetic verses. It is a beautiful way to celebrate Eid, bringing people together and evoking emotions of love and togetherness. With its enchanting words, Eid Shayari adds warmth and joy to the festivities, making it a cherished tradition for many.

Eid shayari

eid ka din hai gale aaj to mil le zalim
rasm-e-duniya bha hai mauqa bh hai dastur bhi hai

QAMAR BADAYUNI

♥♥♥

mah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaana hargiz
shahr men eid ki tariḳh badal jaigi

JALEEL NIZAMI

♥♥♥

eid aai tum na aae kya maza hai eid ka
eid hu to naam hai ik dusre ki diid ka

♥♥♥

dekha hilal e eid to aaya tera ḳhayal
vo asman ka chand hai tu mera chand hai

UNKNOWN/Eid shayari

♥♥♥

kahte haia eid hai aaj apni bhi eid hoti
ham ko agar mayassar janam ki did hoti

GHULAM BHIK NAIRANG

♥♥♥

ai hawa tu hi use eid-mubarak kehna
aur kehna ki koi yaad kiya karta hai

TRIPURARI

♥♥♥

us se milna to use eid-mubarak kahna
ye bhi kahna ki mira eid mubārak kar de

DILAWAR ALI AAZAR

♥♥♥

tu aae to mujh ko bh
eid ka chand dikhai de

HARBANS SINGH TASAVVUR

♥♥♥

eid ab ke bhī gai yunhi kisi ne na kaha
ki tire yaar ko ham tujh se mila dete hain

MUSHAFI GHULAM HAMDANI

♥♥♥

us mehrban nazar ki inayat ka shukriya
tohfa diya hai eid pe ham ko judai ka

UNKNOWN/Eid shayari

♥♥♥

mahak uThī hai faza pairahan kī ḳhushbu se
chaman dilon ka khilane ko eid aai hai

MOHAMMAD ASADULLAH

♥♥♥

vaadon hī pe har roz miri jaan na Taalo
hai eid ka din ab to gale ham ko laga lo

MUSHAFI GHULAM HAMDANI

♥♥♥

hai eid ka din aaj to lag jaao gale se
jaate ho kahan jaan miri aa ke muqabil

MUSHAFI GHULAM HAMDANI

♥♥♥

aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilruba hai did hai

ABROO SHAH MUBARAK

♥♥♥

Eid ka din to hai magar ‘jafar’
main akele to hans nahin sakta

JAFAR SAHNI

♥♥♥

abru ka ishara kiya tum ne to hui eid
ai jaan yahi hai mah-e-shavval hamara

HATIM ALI MEHR

♥♥♥

eid ka din hai gale mil liije
iḳhtilafat haTa kar rakhiye

ABDUL SALAM BENGLURI

♥♥♥

eid ka chand jo dekha to tamanna lipTī
un se taqrīb-e-mulaqat kā rishta niklā

RAHMAT QARNI

♥♥♥

kisi kī yaad manane men eid guzregī
so shahr-e-dil men bahut duur tak udasi hai

ISHAQ VIRDAG

♥♥♥

eid ko bhi vo nahin milte hain mujh se na milen
ik baras din ka mulāqāt hai ye bhi na sahi

SHOLA ALIGARHI

♥♥♥

Eid Shayari
                           Eid Shayari

Read more- kash mai tere hasin hath ka kangan hota

Leave a Reply