You are currently viewing Best Gazal Collection by Ahmad Salman 2023
Best gazal collection by Ahmad Salman

Best Gazal Collection by Ahmad Salman 2023

Discover the Gazal Collection by Ahmad Salman. These beautiful and evocative poems are crafted with utmost care and precision to touch your heart and ignite your emotions.

Immerse yourself in the delicate melodies and heartfelt verses that weave tales of love, life, and the human experience.

Ahmad Salman’s gazals have a universal appeal, resonating with listeners from all walks of life. Experience the magic and let yourself be transported to a realm of profound beauty through his captivating gazals.

Explore the collection today and embark on a poetic journey like no other.

Gazal Collection by Ahmad Salman

Welcome to the mesmerizing world of Ahmad Salman’s Gazal Collection, where Ahmad salmon poetry and music intertwine to create a profound and captivating experience.

shabnam hai ki dhoka hai ki jharna hai ki tum ho

shabnam hai ki dhoka hai ki jharna hai ki tum ho
dil dasht mein ek pyas tamasha hai ki tum ho

ek lafz mein bhaTka hua shair hai ki main hun
ek ghaib se aaya hua misra hai ki tum ho

darwaza bhi jaise meri dhaDkan se juDa hai
dastak hi batati hai paraya hai ki tum ho

ek dhup se uljha hua saya hai ki main hun
ek sham ke hone ka bharosa hai ki tum ho

main hun bhi to lagta hai ki jaise main nahin hun
tum ho bhi nahin aur ye lagta hai ki tum ho

shabnam hai ki dhoka hai ki jharna hai ki tum ho
dil dasht mein ek pyas tamasha hai ki tum ho

By Ahmad Salman

jo hum pe guzre the ranj sare jo KHud pe guzre to log samjhe

jo hum pe guzre the ranj sare jo KHud pe guzre to log samjhe
jab apni apni mohabbaton ke azab jhele to log samjhe

wo jin daraKHton ki chhanw mein se musafiron ko uTha diya tha
unhin daraKHton pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe

us ek kachchi si umr wali ke falsafe ko koi na samjha
jab us ke kamre se lash nikli KHutut nikle to log samjhe

wo KHwab the hi chanbeliyon se so sab ne hakim ki kar li bai’at
phir ek chanbeli ki oT mein se jo sanp nikle to log samjhe

wo ganw ka ek zaif dahqan saDak ke banne pe kyun KHafa tha
jab un ke bachche jo shahr jakar kabhi na lauTe to log samjhe

Gazal collection by ahmad salman
Gazal collection by ahmad salman

By Ahmad Salman

jo dikh raha usi ke andar jo an dikha hai wo shairi hai

jo dikh raha usi ke andar jo an dikha hai wo shayari hai
jo kah saka tha wo kah chuka hun jo rah gaya hai wo shayari hai

ye shahr sara to raushni mein khila paDa hai so kya likhun main
wo dur jangal ki jhonpaDi mein jo ek diya hai wo shayari hai

dilon ke mabain guftugu mein tamam baaten izafaten hain
tumhaari baaton ka har tawaqquf jo bolta hai wo shayari hai

tamam dariya jo ek samundar mein gir rahe hain to kya ajab hai
wo ek dariya jo raste mein hi rah gaya hai wo shayari hai

Gazal collection By Ahmad Salman

Also Read log sath aate gae aur karwan banta gaya

Leave a Reply