You are currently viewing Aisa hai ki sab Khwab musalsal nahin hote | Best of Ahmad Faraz
aisa hai ki sab KHwab musalsal nahin hote

Aisa hai ki sab Khwab musalsal nahin hote | Best of Ahmad Faraz

Discover the truth behind dreams! “aisa hai ki sab KHwab musalsal nahin hote” is a famous Ghazal by Ahmed Faraz. You must read this…

aisa hai ki sab KHwab musalsal nahin hote

aisa hai ki sab KHwab musalsal nahin hote
jo aaj to hote hain magar kal nahin hote


andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain
meinh TuT ke barse bhi to baadal nahin hote


kuchh mushkilen aisi hain ki aasan nahin hotin
kuchh aise muamme hain kabhi hal nahin hote


shaistagi-e-gham ke sabab aankhon ke sahra
namnak to ho jate hain jal-thal nahin hote


kaise hi talatum hon magar qulzum-e-jaan mein
kuchh yaad-jazire hain ki ojhal nahin hote


ushshaq ke manind kai ahl-e-hawas bhi
pagal to nazar aate hain pagal nahin hote


sab KHwahishen puri hon ‘faraz’ aisa nahin hai
jaise kai ashaar mukammal nahin hote

ऐसा है कि सब ख़्वाब मुसलसल नहीं होते


ऐसा है कि सब ख़्वाब मुसलसल नहीं होते
जो आज तो होते हैं मगर कल नहीं होते


अंदर की फ़ज़ाओं के करिश्मे भी अजब हैं
मेंह टूट के बरसे भी तो बादल नहीं होते


कुछ मुश्किलें ऐसी हैं कि आसाँ नहीं होतीं
कुछ ऐसे मुअम्मे हैं कभी हल नहीं होते


शाइस्तगी-ए-ग़म के सबब आँखों के सहरा
नमनाक तो हो जाते हैं जल-थल नहीं होते


कैसे ही तलातुम हों मगर क़ुल्ज़ुम-ए-जाँ में
कुछ याद-जज़ीरे हैं कि ओझल नहीं होते


उश्शाक़ के मानिंद कई अहल-ए-हवस भी
पागल तो नज़र आते हैं पागल नहीं होते


सब ख़्वाहिशें पूरी हों ‘फ़राज़‘ ऐसा नहीं है
जैसे कई अशआर मुकम्मल नहीं होते

By Ahmad Faraz

Also Read Koi Ummid Bar Nahin Aati by Mirza Ghalib

Leave a Reply