You are currently viewing Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do | 3 Best gazal byWasi Shah
Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do | 3 Best gazal byWasi Shah

  • Post author:

Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do | अपने एहसास से छू कर मुझे संदल कर दो | bandh len hath pe sine pe saja len tum ko | बाँध लें हाथ पे सीने पे सजा लें तुम को | aankhon se meri is liye lali nahin jati | आँखों से मिरी इस लिए लाली नहीं जाती

Discover the depth of emotions in the ghazal “Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do” by Wasi Shah. Explore the poet’s perspective on love and yearning. Click to dive into its meaning.

Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do

apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
mai sadiyon se adhura hun mukammal kar do

na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuT ke chaho mujhe pagal kar do

tum hatheli ko mere pyar ki mehndi se rango
apni aankhon mein mere nam ka kajal kar do

is ke sae mein mere KHwab dahak uthenge
mere chehre pe chamakta hua aanchal kar do

dhup hi dhup hun main TuT ke barso mujh par
is qadar barso meri ruh mein jal thal kar do

jaise sahraon mein har sham hawa chalti hai
is tarah mujh me chalo or mujhe jal thal kar do

tum chhupa lo mera dil oT mein apne dil ki
aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do

masala hun to nigahen na churao mujh se
apni chahat se tawajjoh se mujhe hal kar do

apne gham se kaho har waqt mere sath rahe
ek ehsan karo is ko musalsal kar do

mujh pe chha jao kisi aag ki surat jaanan
aur meri zat ko sukha hua jangal kar do

Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do
mai sadiyon se adhura hun mukammal kar do

अपने एहसास से छू कर मुझे संदल कर दो

अपने एहसास से छू कर मुझे संदल कर दो
मैं कि सदियों से अधूरा हूँ मुकम्मल कर दो

न तुम्हें होश रहे और न मुझे होश रहे
इस क़दर टूट के चाहो मुझे पागल कर दो

तुम हथेली को मिरे प्यार की मेहंदी से रंगो
अपनी आँखों में मिरे नाम का काजल कर दो

इस के साए में मिरे ख़्वाब दहक उट्ठेंगे
मेरे चेहरे पे चमकता हुआ आँचल कर दो

धूप ही धूप हूँ मैं टूट के बरसो मुझ पर
इस क़दर बरसो मिरी रूह में जल-थल कर दो

जैसे सहराओं में हर शाम हवा चलती है
इस तरह मुझ में चलो और मुझे जल-थल कर दो

तुम छुपा लो मिरा दिल ओट में अपने दिल की
और मुझे मेरी निगाहों से भी ओझल कर दो

मसअला हूँ तो निगाहें न चुराओ मुझ से
अपनी चाहत से तवज्जोह से मुझे हल कर दो

अपने ग़म से कहो हर वक़्त मिरे साथ रहे
एक एहसान करो इस को मुसलसल कर दो

मुझ पे छा जाओ किसी आग की सूरत जानाँ
और मिरी ज़ात को सूखा हुआ जंगल कर दो

Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do by wai shah

bandh len hath pe sine pe saja len tum ko

bandh len hath pe sine pe saja len tum ko
ji mein aata hai ki tawiz bana len tum ko

phir tumhe roz sawaren tumhe badhta dekhen
kyu na angan mein chameli sa laga len tum ko

jaise baalon mein koi phul chuna karta hai
ghar ke gul-dan mein phulon sa saja len tum ko

kya ajab KHwahishen uThti hain hamare dil mein
kar k munna sa hawaon me uchhaalen tum ko

is qadar TuT ke tum pe hamein pyar aata hai
apni banhon mein bharen mar hi Dalen tum ko

kabhi Khwabon ki tarah ankh k parde me raho
kabhi Khwahish ki tarah dil me bula len tum ko

hai tumhaare liye kuchh aisi aqidat dil mein
apne hathon mein duaon sa uTha len tum ko

jaan dene ki ijazat bhi nahin dete ho
warna mar jaen abhi mar ke mana len tum ko

jis tarah raat ke sine mein hai mahtab ka nur
apne tarik makanon mein saja len tum ko

ab to bas ek hi KHwahish hai kisi moD par tum
hum ko bikhre hue mil jao sambhaalen tum ko

Ghazal by Wasi shah

बाँध लें हाथ पे सीने पे सजा लें तुम को

बाँध लें हाथ पे सीने पे सजा लें तुम को
जी में आता है कि ता’वीज़ बना लें तुम को

फिर तुम्हें रोज़ सँवारें तुम्हें बढ़ता देखें
क्यूँ न आँगन में चमेली सा लगा लें तुम को

जैसे बालों में कोई फूल चुना करता है
घर के गुल-दान में फूलों सा सजा लें तुम को

क्या अजब ख़्वाहिशें उठती हैं हमारे दिल में
कर के मुन्ना सा हवाओं में उछालें तुम को

इस क़दर टूट के तुम पे हमें प्यार आता है
अपनी बाँहों में भरें मार ही डालें तुम को

कभी ख़्वाबों की तरह आँख के पर्दे में रहो
कभी ख़्वाहिश की तरह दिल में बुला लें तुम को

है तुम्हारे लिए कुछ ऐसी अक़ीदत दिल में
अपने हाथों में दुआओं सा उठा लें तुम को

जान देने की इजाज़त भी नहीं देते हो
वर्ना मर जाएँ अभी मर के मना लें तुम को

जिस तरह रात के सीने में है महताब का नूर
अपने तारीक मकानों में सजा लें तुम को

अब तो बस एक ही ख़्वाहिश है किसी मोड़ पर तुम
हम को बिखरे हुए मिल जाओ सँभालें तुम को

aankhon se meri is liye lali nahin jati

aankhon se meri is liye lali nahin jati
yaadon se koi raat jo KHali nahin jati

ab umr na mausam na wo raste ki wo palte
is dil ki magar KHam-KHayali nahin jati

mange to agar jaan bhi hans ke tujhe de den
teri to koi baat bhi Tali nahin jati

aae koi aa kar ye tere dard sambhaale
hum se to ye jagir sambhaali nahin jati

malum hamein bhi hain bahut se tere qisse
par baat teri hum se uchhaali nahin jati

hamrah tere phul khilati thi jo dil mein
ab sham wahi dard se KHali nahin jati

hum jaan se jaenge tabhi baat banegi
tum se to koi rah nikali nahin jati

आँखों से मिरी इस लिए लाली नहीं जाती

आँखों से मिरी इस लिए लाली नहीं जाती
यादों से कोई रात जो ख़ाली नहीं जाती

अब उम्र न मौसम न वो रस्ते कि वो पलटे
इस दिल की मगर ख़ाम-ख़याली नहीं जाती

माँगे तो अगर जान भी हँस के तुझे दे दें
तेरी तो कोई बात भी टाली नहीं जाती

आए कोई आ कर ये तिरे दर्द सँभाले
हम से तो ये जागीर सँभाली नहीं जाती

मा’लूम हमें भी हैं बहुत से तिरे क़िस्से
पर बात तिरी हम से उछाली नहीं जाती

हमराह तिरे फूल खिलाती थी जो दिल में
अब शाम वही दर्द से ख़ाली नहीं जाती

हम जान से जाएँगे तभी बात बनेगी
तुम से तो कोई राह निकाली नहीं जाती

Read More Kash Mai Tere Hasin Hath Ka Kangan Hota | famous shayari by wasi shah

plz Like and Comment Apne Ehsas Se Chhu Kar Mujhe Sandal Kar Do

Leave a Reply