You are currently viewing 100 + Jaun Elia best Shayari – main jaun elia hun janab
Jaun elia best shayari

100 + Jaun Elia best Shayari – main jaun elia hun janab

Welcome to our new blog “Jaun Elia best Shayari“, where we delve into the captivating world of Urdu poetry and pay homage to one of its brightest stars, Jaun Elia.

Known for his profound verses that resonate deeply with the human experience, Elia’s poetic prowess continues to inspire and captivate readers around the globe.

 In this article, we explore the life and works of this enigmatic poet, delving into the depths of his melancholic yet beautifully introspective compositions.

Join us as we unravel the essence of Jaun Elia’s poetry, discovering the profound impact his words have left on the hearts and minds of countless poetry enthusiasts

Jaun elia best Shayari

main jo huun ‘jaun-elia’ hun janb,
is ka behad lihaz kijiyeg.

jo guzari na ja saki ham se,
ham ne vo zindagi guzari hai.

aur to kya tha Bechne ke liye,
apni Aankhon Ke Khwab Baiche Hain.

main bhi bahut ajib hun itna ajib ki bas,
khud ko tabah kr liya aur malal bhi nahi.

Kya Bataun Ke Mar Nahin Jata,
jite ji Jab Se Mar Gaya Hun Main.

ye mujhe chain kyun nahin padta,
ek hi shakhs tha jahan men kya.

use Gali Ne ye sun ke Sabra Kiya,
Jane Wale Yahan Ke the hi Nahin.

zindagi kis tarah basar hogi,
dil nahin lag raha mohabbat men.

Khoob Hai Ishq Ka Pehlu bhi,
main bhi Barbad Ho Gaya Tu Bhi.

bahut nazdik aati ja rahi ho,
bichhadne ka irada kar liya kya.

Jaun elia best Shayari

Roya Hun To Apne doston mein,
per Tujhse to Hans ke hi Mila hun.

saari duniya ke ġham hamare hain,
aur sitam ye ki ham tumhare hain.

Yun Jo Takta Hai Aasman Ko Tu,
Koi Rehta Hai Aasman mein kya.

kaun is ghar ki dekh bhal kare,
roz ik chiiz TuT jati hai.

Kaam Ki Baat Maine ki hi nahin,
ye Mera Tor-e-Jindagi hi Nahin.

kya sitam hai ki ab tiri surat,
ġhaur karne pe yaad aati hai.

Apna khaka Lagta hun,
Ek Tamasha Lagta hun.

kis liye dekhti ho aina,
tum to khud se bhi khubsurat ho.

Aaj Mujhko bahut bura Keh kar,
aapane Naam to liya Mera.

kaise kahen ki tujhko ham se hai vasta ,
tu ne ham se aaj tak koi gila nahin kiya.

BY JAUN ELIA

Jaun elia best shayari
Jaun elia best shayari

John elia best shayari

ho kabhi Tu Sharab e wasl Naseeb,
Piye jaun Mein Khoon hi Kab Tak.

mustaqil bolta hi rahta hun,
kitna khamosh hun main andar se.

Hum Ko Yaaron Ne yaad bhi na Rakha,
“John” Yaaron ke yaar the Ham to.

Ilaaj ye hai ki majbur kar diya jaun,
varna yuun to kisi ki nahin suni main ne.

Ham kahan aur tum kahan Jana,
hai Kai hijra Darmiyaan Jana

mujhe ab tum se Dar lagne laga hai,
tumhen mujh se mohabbat ho gai kya.

Bin Tumhare Kabhi Nahin Aai,
Kya Meri Neend bhi Tumhari Hai

kitni dilkash ho tum kitna dilju hun main,
kya sitam hai ki ham log mar jainge.

Kya Hai Jo Badal Gai Hai Duniya,
main bhi to bahut badal gaya hun.

Jaun elia best Shayari

kya kaha ishq javedani hai,
akhiri baar mil rahi ho kya.

kya Sitam Hai Ki Ab Teri Surat,
Gaur karne per Yad Aati Hai.

aur to kya tha bechne ke liye
apni ankhon ke khvab beche hain

mar gaye hai khawab sabki ankhon ke,
har taraf hai gila haqeekat ka.

tumhara hijr mana luun agar ijazat ho,
main dil kisi se laga lun agar ijazat ho.

shaher abaad ker k shaher k log,
apne ander bikharte jate hai.

sochta hun ki us ki yaad akhir
ab kise raat bhar jagati hai

Saare rishte tabaah kar aaya,
Dil e barbaad apne ghar aaya

dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte

Ab Main Samjha Hun Bekasi Kya Hai,
Ab Tumhein Bhi Mera Khayal Nahin.

zindagi ek fan hai lamhon ko,
apne andaz se ganvane ka.

John elia best shayari BY JAUN ELIA

John elia best shayari
John elia best shayari

Shayari jaun elia

zindagi ek fan hai lamhon ko,
apne andaz se ganvane ka.

mujhse kehti thi woh sharab aankhen,
aap woh zehar mat piya kijiye.

bin tumhare kabhi nahin aai,
kya miri nind bhi tumhirī hai.

wafa ikhlas qurbani mohabbat,
ab in lafzon ka picha q karen ham.

main raha umr bhar juda khud se,
yaad maia khud ko umr bhar aaya.

sabse pur-amn vaqiya yeh hai,
aadmi aadmi ko bhul gaya.

ab miri koi zindagi hi nahin,
ab bhi tum meri zindagi ho kya.

shab jo huwa ham muaf karo,
nahin pi thi behak gaye honge.

yaad use intihai karte hain,
so ham us ki burai karte hain.

us ne goya mujhe ko yaad rakha,
mai bhi goya usi ko bhul gaya.

Jaun elia best Shayari

ab nahin koi baat khatre ki,
ab sabhi ko sabhi se khatra hai.

go apne hazaar naam rakh lun,
per apne siva main or kya hun.

naya ik rishta paida kyun karen ham,
bichadna hi to jhagda kyun karen ham.

in labon ka lahu na pi jaun,
apni tishna labi se khatra hai.

yuuñ jo takta hai asman ko tu,
koi rahta hai asman men kya.

hamri he tamanna q karo tum,
tumhari he tamanna q kare ham.

jan leva thiin khvahishea varna,
vasl se intizar achchha tha.

khuda se li liya jannat ka wada,
yeh zahid to bade he ghaag nikle.

ab to har baat yaad rahti hai,
ghaliban main kisi ko bhul gaya.

bhul jana nahin gunah usse,
yaad kerne usse sawab nahin.

Shayari jaun elia BY JAUN ELIA

John elia best shayari
John elia best shayari

Jaun eliya shayari

ai shaḳhs main teri justuju se,
be zar nahin hun thak gaya hun.

apne sas ek bala to leni thi,
maine woh zulf apne sir li hai.

ik ajab haal hai ki ab us ko,
yaad karna bhi bevafai hai.

yaad use intihai kerte hai,
so ham us ki burai kerte hai.

mujh ko aadat hai ruth jaane ki,
aap mujh ko mana liyā kije.

khub hai ishq ka yeh pehlu bhi,
mai barbaad ho gaya tu bhi.

kya takalluf karen ye kahne men,
jo bhi khush hai ham us se jalte hain.

apna rishta zamin se he rakho,
kuch nahin aasman me rakha.

kaam ki baat main ne ki hī nahin,
ye mira taur e zindagi hi nahin.

koi mujh tak pahuch nahin pata,
itna aasan hai pata mera.

Jaun elia best Shayari

apna rishta zamin se hi rakkho.
kuch nahin asman men rakkha,

kyun takalluf kareyeh kehne me,
jo bhi khush hai ham usse jalte hai.

apne sab yaar kaam kar rahe hain,
aur ham hain ki naam kar rahe hain.

or to kya tha bechne k liye,
apni aankhon k khawab beche hai.

koi mujh tak pahunch nahin pata,
itna asan hai pata mera.

BY JAUN ELIA

Jaun eliya shayari
Jaun eliya shayari

Jaun elia famous shayari

rakho dair o haram ko ab muqaffal
kai pagal yahan se bhaag nikle

marham e hijr tha ajab iksir
ab to har zaḳhm bhar gayā hogā

ye paiham talkh aami sī rahī kya
mohabbat zahr khā kar aa.ī thī kyā

aap apnī galī ke saail ko
kam se kam par saval to rakhiye

kya hue surat nigaran khvab ke
khvab ke surat nigaran kya hue

main ab har shakhs se ukta chuka huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhī kya

kis se izhar-e-mudda kiije
aap milte nahin haiñ kya kiije

dil ab duniya pe laanat kar ki is ki
bahut khidmat-guzari ho gaī hai

mere tevar bujh gae meri nigahn jal gai
ab koi aīna rū aīna-dar aayā to kya

teġh to ‘jaun’ phenk dije magar
hath men apne Dhaal to rakhiye

Jaun elia best Shayari

mujhe ab hosh aata jā raha hai
khudā teri ḳhudai jā rahī hai

bhuul jaana nahin gunah use
yaad karna use savab nahin

ham jo ab aadmī hain pahle kabhi
jaam honge chhalak gae honge

tiri qīmat ghataī ja rahī hai
mujhe furqat sikhai jā rahi hai

mujh ko to koī Tokta bhī nahin
yahī hotā hai ḳhāndān meñ kyā

fulan se thī ġhazal behtar fulan ki
fulan ke zakhm achchhe the fulan se

us ne goya mujhī ko yaad rakha
main bhī goya usi ko bhuul gaya

shauq hai is dil e darinda ko
aap ke houT kaaT khane ka

zamana tha vo dil kī zindagi ka
tiri furqat ke din laun kahan se

us se har dam moamla hai magar
darmiyan koi silsila hī nahin

Jaun Elia

John elia sher | 2 line

meri har baat be-asar hi rahi
naqs hai kuchh mire bayan men ky

janiye us se nibhegi kis tarah
vo khuda hai main to banda bhi nahin

zindagi kya hai ik kahani hai
ye kahani nahin sunani hai

roya huun to apne doston men
par tujh se to hans ke hi mila hun

us ke honTon pe rakh ke hont apne
baat hi ham tamam kar rahe hain

mil rahi ho baḌe tapak ke saath
mujh ko yaksar bhula chuki ho kya

ham kahan aur tum kahan janan
hain kai hijr darmiyan janan

bolte kyun nahin mire haq men
aable paḌ gae zaban men kya

apne sar ik bala to leni thi
maiñ ne vo zulf apne sar li hai

BY JAUN ELIA

Gazals of Jaun Elia

Explore the enchanting realm of Jaun Elia’s gazals, where heartfelt verses explore themes of love, loss, and the beauty of language.

Jaun Elia’s poetic brilliance captivates readers, stirring emotions and igniting inspiration. Immerse yourself in the power of his words, and delve into the depths of human emotions through his poetry.

Yeh gham kya dil ki aadat hai

Yeh Gham Kya Dil Ki Adat Hai? Nahin To
Kisi Se Kuch Shikaayat Hai? Nahin To

Hai Woh Ek Khwaab-E-Be-Taabeer Isko
Bhula Dene Ki Neeyat Hai? Nahin To

Kisi Ke Bin, Kisi Ki Yaad Ke Bin
Jiye Jaane Ki Himmat Hai? Nahin To

Kisi Soorat Bhi Dil Lagta Nahin? Haan
To Kuch Din Se Yeh Haalat Hai? Nahin To

Tujhe Jisne Kahin Ka Bhi Na Rakha
Woh Ek Zaati Si Wehshat Hai? Nahin To

Tere Is Haal Par Hai Sab Ko Hairat
Tujhe Bhi Is Pe Hairat Hai? Nahin To

Hum-Aahangi Nahin Duniya Se Teri
Tujhe Is Par Nadaamat Hai? Nahin To

Wo Darweshi Jo Taz Kar Aa Gya….Tu
Yah Daulat Uski Keemat Hai? Nahin To

Hua Jo Kuch Yehi Maqsoom Tha Kya?
Yahi Saari Hikaayat Hai? Nahin To

Azeeyat-Naak Ummeedon Se Tujhko
Aman Paane Ki Hasrat Hai? Nahin To

Tu Rehta Hai Khayal-O-Khwab Me Gum
To Is Wajah Se Fursat Hai? Nahin To

Wahan Waalon Se Hai Itni Mohabbat
Yahaan Waalon Se Nafrat Hai? Nahin To

Sabab Jo Is Judaai Ka Bana Hai
Wo Mujh Se Khubsoorat Hai? Nahin To.

Read More Aap hain kyou khafa kuch pataa to chale

be qarari si be qarari hai

be-qarari si be-qarari hai
wasl hai aur firaq tari hai

jo guzari na ja saki hum se
hum ne wo zindagi guzari hai

nighare kya hue ki logon par
apna saya bhi ab to bhaari hai

bin tumhaare kabhi nahin aai
kya meri nind bhi tumhaari hai

aap mein kaise aaun main tujh bin
sans jo chal rahi hai aari hai

us se kahiyo ki dil ki galiyon mein
raat din teri intizari hai

hijr ho ya visal ho kuchh ho
hum hain aur us ki yaadgari hai

ek mahak samt-e-dil se aai thi
main ye samjha teri sawari hai

hadson ka hisab hai apna
warna har aan sab ki bari hai

KHush rahe tu ki zindagi apni
umr bhar ki umid-wari hai

Source

Book-yaani.  Author- Jaun Elia

umr guzregi imtihan mein kya

umr guzregi imtehan me kya
umr guzregi imtehan me kya

umr guzregi imtihan mein kya
dagh hi denge mujh ko dan mein kya

meri har baat be-asar hi rahi
nuqs hai kuchh mere bayan mein kya

mujh ko to koi Tokta bhi nahin
yahi hota hai KHandan mein kya

apni mahrumiyan chhupate hain
hum gharibon ki aan-ban mein kya

KHud ko jaana juda zamane se
aa gaya tha mere guman mein kya

sham hi se dukan-e-did hai band
nahin nuqsan tak dukan mein kya

ai mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq
tu nahati hai ab bhi ban mein kya

bolte kyun nahin mere haq mein
aable paD gae zaban mein kya

KHamushi kah rahi hai kan mein kya
aa raha hai mere guman mein kya

dil ki aate hain jis ko dhyan bahut
KHud bhi aata hai apne dhyan mein kya

wo mile to ye puchhna hai mujhe
ab bhi hun main teri aman mein kya

yun jo takta hai aasman ko tu
koi rahta hai aasman mein kya

hai nasim-e-bahaar gard-alud
KHak uDti hai us makan mein kya

ye mujhe chain kyun nahin paDta
ek hi shaKHs tha jahan mein kya

Source

  Author- Jaun Elia

Read more Wo Kehti Hai Suno Jana Mohabbat Mom Ka Ghar Hai

Jaun Elia

Jaun Elia, born on December 14, 1931, in Amroha, Uttar Pradesh, India, was a prominent Pakistani poet, philosopher, and scholar.

Known for his profound and unconventional poetry, Jaun Elia left an indelible mark on Urdu literature.

This article delves into the life, works, and enduring legacy of this literary genius.

Jaun Elia Education

Jaun Elia was born into a family of intellectuals and scholars.

His father, Allama Shafiq Hasan Elia, was a renowned scholar of Arabic and Persian.

From a young age, Jaun Elia showed an inclination towards literature and language.

He received his early education in Amroha and later moved to Karachi, Pakistan, with his family.

Literary Influences

Jaun Elia drew inspiration from a diverse range of literary figures, including Mir Taqi Mir, Ghalib, and Iqbal.

Their profound impact on his work can be seen in his eloquent expression, depth of thought, and the fusion of classical and contemporary styles in his poetry.

Jaun Elia’s Poetry

Over the years, Jaun Elia’s poetry underwent a remarkable evolution.

His early works demonstrated a romantic and classical style, while his later poetry embraced a more rebellious and philosophical approach.

Jaun Elia’s verses portrayed a blend of pain, love, and social commentary, often reflecting the complexities of life and human emotions.

Themes

Jaun Elia’s poetry explored a myriad of themes, including love, heartbreak, existentialism, spirituality, social inequality, and the human condition.

His profound insights and poignant observations struck a chord with readers, who found solace and introspection in his words.

Awards

Despite his unconventional style, Jaun Elia received widespread recognition for his contributions to Urdu literature.

He was honoured with numerous awards and accolades, including the Presidential Pride of Performance Award in Pakistan.

His poetry continues to be celebrated for its depth and originality.

Works by Jaun Elia

Some of Jaun Elia’s notable works include:

  • Shayad”
  • “Gumaan”
  • “Ya’ani”
  • “Lekin
  • “Farnood”

These collections of poetry showcase the depth and diversity of Jaun Elia’s poetic prowess.

Conclusion

Jaun Elia’s poetry remains a testament to the power of words to evoke emotions, challenge societal norms, and provide solace in times of despair.

His unique style, thought-provoking themes, and unwavering commitment to expressing the complexities of life have secured his place as one of the most influential poets in the Urdu language.

Q1. Can I find translations of Jaun Elia’s poetry in English?

Yes, there are several translations available that allow readers to explore Jaun Elia’s poetry in English and other languages.

Q2. Which awards did Jaun Elia receive for his contributions to Urdu literature?

Jaun Elia was honoured with the prestigious Presidential Pride of Performance Award in Pakistan for his exceptional contributions to Urdu literature.

Q3. What were some of Jaun Elia’s most popular works?

Jaun Elia’s popular works include “Shayad,” “Gumaan,” “Ya’ani,” “Lekin,” and “Farnood.”

Q4. How did Jaun Elia’s poetry challenge societal norms?

Jaun Elia’s poetry addressed social injustice, inequality, and political turmoil, challenging prevailing power structures and shedding light on the struggles of marginalized communities.

Q5. How has Jaun Elia’s poetry influenced contemporary Urdu poetry?

Jaun Elia’s bold and unconventional style, along with his profound insights and philosophical outlook, has inspired a new generation of poets, shaping the landscape of contemporary Urdu poetry.

Leave a Reply